Question:
Mujhe kisi ne bataya tha ke farz namazon mein sirf pehli do rakaton mein Surah Fatiha ke baad koi aur surah padhna zaroori hai. Bakaya rakaton mein sirf Surah Fatiha padhke ruku mein jaa sakte hai. Kya yeh baat durust hai??Doosra sawaal: Kya sunnat (Nafal) namazon mein, Surah Fatiha ke baad har rakat mein koi aur Surah parhna zaroori hai? Please bataayein sahi tareeqa sunnat(nafal) namaz padhne ka kya hai?
 
Answer:
Ji han, Farz Namaaz agar 4 rakaton par mushtamil hai to uske shuroo ki do rakaton main Surah Fatiha ke saath Surat milana Waajib hai, agar na kya to Sajda SAHAW karna hogaSunnat ki har rakaat main Surah Fatiha ke saath Surat milana zaroori hai, khuwa 2 rakaat hon ya 4