Question:
Mujhe Zakat ke mutallik puchana hai1) Agar mujh par 15000 zakat nikalti hai, kya mai 3 logo me takseem kar sakta hoo ya ek hi ko pura 15000 dena hoga.2) Kya mai apni sagi behan ko bina bataye zakat de sakta hoo aur Ramzan ke ilawa kisi doosre mahine me de sakta hoo taaki use pata nahi chale ke yeh zakat hai
 
Answer:
Zakat har mustahiq ko di ja sakti hai, chahen to aik hi ko saari dain ya kai logon main taqseem kar dain.Sage behen bhai ko bhi zakat di ja sakti hai. Ramzan ke ilawa bhi zakat di ja sakti hai